Bahaar-e-fikr Ke Jalwe LuTa Diye Humne

bahaar-e-fikr ke jalwe luTa diye hum ne

junun-e-ishq ke dariya baha diye hum ne

farogh-e-danish-o-burhan ke shoale bhaDka kar

tawahhumat ke KHirman jala diye hum ne

gira ke dark-o-basirat ki bijliyan paiham

tassubaat ke TukDe uDa liye hum ne

bana ke fikr-o-tadabbur ko KHadim-e-insan

muqaddaraat ke chhakke chhuDa diye hum ne

shuur-e-naqd ki sehat-pasandiyon ki qasam

aqidaton ke parKHache uDa diye hum ne

miTa ke tafarqa-e-KHas-o-am ki lanat

huquq-e-KHas Thikane laga diye hum ne

fatadgan-e-zamin ka buland kar ke alam

falak-nashinon ke parcham jhuka diye hum ne

nae shuur se zehnon mein bijliyan bhar din

nai umangon se dil jagmaga diye hum ne

guman hayat pe hota hai git ki lai ka

kuchh aise git jahan ko suna diye hum ne

tilism toD ke jhuTi haqiqaton ke tamam

ajaibaat ke jadu jaga diye hum ne

wara-e-charKH the aabaad jis qadar firdaus

zamin ki sath pe la kar basa diye hum ne

bana ke mehnat-e-insan ko ek qadr-e-buland

zamin pe chand sitare bichha diye hum ne

jala ke azmat-e-adam ki sham-e-derina

charagh dair-o-haram ke bujha diye hum ne

jo dark rakhte hain aKHtar wo samjhen aur bataen

ye kis sharab ke saghar lunDha diye hum ne

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar-e-fikr Ke Jalwe LuTa Diye Humne In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Bahaar-e-fikr Ke Jalwe LuTa Diye Humne is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Bahaar-e-fikr Ke Jalwe LuTa Diye Humne for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Bahaar-e-fikr Ke Jalwe LuTa Diye Humne in PDF.