Mohabbat Hai Aziyyat Hai Hujum-e-yas-o-hasrat Hai

mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai

jawani aur itni dukh bhari kaisi qayamat hai

wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka

na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai

lab-e-dariya mujhe lahron se yunhi chahal karne do

ki ab dil ko isi ek shughl-e-be-mani mein rahat hai

tera afsana ai afsana-KHwan rangin sahi mumkin

mujhe rudad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai

koi roe to main be-wajh KHud bhi rone lagta hun

ab 'aKHtar' chahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Hai Aziyyat Hai Hujum-e-yas-o-hasrat Hai In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Mohabbat Hai Aziyyat Hai Hujum-e-yas-o-hasrat Hai is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Mohabbat Hai Aziyyat Hai Hujum-e-yas-o-hasrat Hai for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Mohabbat Hai Aziyyat Hai Hujum-e-yas-o-hasrat Hai in PDF.