Mohabbat Karne Walon Ke Bahaar-afroz Sinon Mein

mohabbat karne walon ke bahaar-afroz sinon mein

raha karti hai shadabi KHizan ke bhi mahinon mein

ziya-e-mehr aankhon mein hai tauba mah-jabinon ke

ki fitrat ne bhara hai husn KHud apna hasinon mein

hawa-e-tund hai girdab hai pur-shor dhaara hai

liye jate hain zauq-e-afiyat si shai safinon mein

main hansta hun magar ai dost aksar hanste hue bhi

chhupae hote hain dagh aur nasur apne sinon mein

main un mein hun jo ho kar aastan-e-dost se mahrum

liye phirte hain sajdon ki taDap apni jabinon mein

meri ghazlen paDhen sab ahl-e-dil aur mast ho jaen

mai-e-jazbaat laya hun main lafzi aabginon mein

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Karne Walon Ke Bahaar-afroz Sinon Mein In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Mohabbat Karne Walon Ke Bahaar-afroz Sinon Mein is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Mohabbat Karne Walon Ke Bahaar-afroz Sinon Mein for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Mohabbat Karne Walon Ke Bahaar-afroz Sinon Mein in PDF.