Pur-kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-nur Ujale Hote Hain

pur-kaif ziyaen hoti hain pur-nur ujale hote hain

jab KHak-basar dil hota hai aur arsh pe nale hote hain

hanste hain dahan-e-zaKHm se hum gate hain fughan ke barbat par

aashufta-saron ki duniya ke sab Dhang nirale hote hain

kya qahr barasta hai dil par sawan ki shabon mein kya kahiye

kuchh dard ki phuwaren hoti hain kuchh yas ke jhaale hote hain

in ujDe hue armanon ko kis shauq se dil ne sincha tha

barbaad magar hote hain wahi jo nam ke pale hote hain

chahat ke sitam bardasht karen mar mar ke jien aur mar na saken

kya jaaniye kis miTTi ke bane ye chahne wale hote hain

dil tang na ho ai rah-raw-e-gham kanTon ke liye to kam se kam

manind-e-nawed-e-abr-e-karam ye panw ke chhaale hote hain

uf-re wo nazakat lahje ki baaten jo nikalti hain munh se

ya chand ki kirnen hoti hain ya barf ke gale hote hain

ye dard-e-junun ye soz-e-jigar in kaifiyaton ke gird 'aKHtar'

tasKHir ke halqe hon ki na hon taqdis ke haale hote hain

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pur-kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-nur Ujale Hote Hain In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Pur-kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-nur Ujale Hote Hain is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Pur-kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-nur Ujale Hote Hain for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Pur-kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-nur Ujale Hote Hain in PDF.