Qasam In Aankhon Ki Jin Se Lahu Tapakta Hai

qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai

mere jigar mein ek aatish-kada dahakta hai

guzishta kahish o andoh ke KHayal Thahar

mere dimagh mein shola sa ek bhaDakta hai

kisi ke aish-e-tamanna ki dastan na kaho

kaleja meri tamannaon ka dhaDakta hai

ilaj-e-'aKHtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin

agar wo ji nahin sakta to mar to sakta hai

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasam In Aankhon Ki Jin Se Lahu Tapakta Hai In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Qasam In Aankhon Ki Jin Se Lahu Tapakta Hai is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Qasam In Aankhon Ki Jin Se Lahu Tapakta Hai for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Qasam In Aankhon Ki Jin Se Lahu Tapakta Hai in PDF.