Sada Kuchh Aisi Mere Gosh-e-dil Mein Aati Hai

sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai

koi bina-e-kuhan jaise laDkhaDati hai

racha hua hai fazaon mein ek athah hiras

dimagh shal hai magar ruh sansanati hai

mujhe yaqin hai aandhi koi uThi hai kahin

ki lau charagh-e-shabistan ki thartharaati hai

umid yas ke gahre KHamosh jangal mein

hawa-e-sham ki manind sarsaraati hai

sawal hai gham-e-hasti ke bit jaane ka

ye zindagi to bahar-haal bit jati hai

KHayal-e-umr-e-guzishta zara tawaqquf kar

zamin qadmon ke niche se nikli jati hai

main apni aag mein jal kar kabhi ka KHak hua

ye zindagi mujhe kya KHak mein milati hai

nishana-baz falak tere nawakon ki KHair

ki jin ki zad pe mere hauslon ki chhati hai

lachak hi jati hai shaKH apne aashiyan ki bhi

chaman mein gati hui jab bahaar aati hai

fughan-e-dard labon par na aaiyo zinhaar

meri saliqa-shiari pe baat aati hai

idhar ye girya-e-abr aur udhar wo KHanda-e-barq

mizaj-e-dahr mere dost tanziyati hai

rahin-e-rasm-o-riwayat ho jis ki but-shikani

wo but-shikan bhi haqiqat mein somnati hai

bapa hai shor-e-qayamat dimagh mein 'aKHtar'

zaban-e-KHama magar zamzame luTati hai

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sada Kuchh Aisi Mere Gosh-e-dil Mein Aati Hai In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Sada Kuchh Aisi Mere Gosh-e-dil Mein Aati Hai is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Sada Kuchh Aisi Mere Gosh-e-dil Mein Aati Hai for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Sada Kuchh Aisi Mere Gosh-e-dil Mein Aati Hai in PDF.