Suna Ke Apne Aish-e-tam Ki Rudad Ke TukDe

suna ke apne aish-e-tam ki rudad ke TukDe

uDa dunga kisi din charKH ki bedad ke TukDe

asiri ko ata kar ke asiri ka sharaf hum ne

uDa Dale KHud apni fitrat-e-azad ke TukDe

kahan ka aadmi insan kaisa ma-hasal ye hai

kahin ashKHas ke purze kahin afrad ke TukDe

tabahi ke mazon se bhi gae ab wae-mahrumi

sameTunga kahan tak hasrat-e-barbaad ke TukDe

ye sina talKH yaadon ka KHazina hi sahi lekin

bahut chubhte hain dil mein ek nukili yaad ke TukDe

tum achchhe hi sahi mera bura hona bhi hai bar-haq

ki hum sab hain kisi majmua-e-azdad ke TukDe

hamein laKHt-e-jigar khane ko hargiz kam na tha 'aKHtar'

magar qismat mein likkhe the jahanabaad ke TukDe

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Ke Apne Aish-e-tam Ki Rudad Ke TukDe In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Suna Ke Apne Aish-e-tam Ki Rudad Ke TukDe is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Suna Ke Apne Aish-e-tam Ki Rudad Ke TukDe for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Suna Ke Apne Aish-e-tam Ki Rudad Ke TukDe in PDF.