Jis Ke Dil Mein Koi Arman Nahin Hota Hai

jis ke dil mein koi arman nahin hota hai

meri nazron mein wo insan nahin hota hai

KHud-kushi jurm samajhte hain zamane wale

jaan dena koi aasan nahin hota hai

har ghaDi dil mein raha karta hai yaadon ka hujum

ye wo ghar hai kabhi viran nahin hota hai

bhuli-bisri hui yaaden bhi rula deti hain

be-sabab koi pareshan nahin hota hai

wahshat-e-dil ka taqaza hai ki bas pyar karo

pyar ke saude mein nuqsan nahin hota hai

umr-bhar ke liye aa jao mere dil mein raho

apne ghar mein koi mehman nahin hota hai

husn-e-aKHlaq se man-bap ki KHidmat karna

farz to hota hai ehsan nahin hota hai

(2090) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ke Dil Mein Koi Arman Nahin Hota Hai In English By Famous Poet Akhtar Azad. Jis Ke Dil Mein Koi Arman Nahin Hota Hai is written by Akhtar Azad. Read famous Poem Jis Ke Dil Mein Koi Arman Nahin Hota Hai for youth and Student by Akhtar Azad. Free Download Jis Ke Dil Mein Koi Arman Nahin Hota Hai in PDF.