Apna Saya Bhi Na Ham-rah Safar Mein Rakhna

apna saya bhi na ham-rah safar mein rakhna

puKHta saDken hi faqat rahguzar mein rakhna

ghair-mahfuz samajh kar na ghanim aa jae

dosto! main na sahi KHud ko nazar mein rakhna

kahin aisa na ho main hadd-e-KHabar se guzrun

koi aalam ho mujhe apni KHabar mein rakhna

aaina TuT ke bikhre to kai aks mile

ab hathauDa hi kaf-e-aina-gar mein rakhna

mashghale kibr-sini mein wahi bachpan wale

kabhi taswiren kabhi aaine ghar mein rakhna

bahte dariyaon ko sahil hi se takte rahna

aur jalte hue ghar dida-e-tar mein rakhna

koi to aisa ho jo tum ko bachae tum se

koi to apna bahi-KHwah safar mein rakhna

koi bhi chiz na rakhna ki taaqub mein hain log

apni miTTi hi magar dast-e-hunar mein rakhna

jangalon mein bhi hawa se wahi rishta 'aKHtar'

shahr mein bhi yahi sauda mujhe sar mein rakhna

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Saya Bhi Na Ham-rah Safar Mein Rakhna In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Apna Saya Bhi Na Ham-rah Safar Mein Rakhna is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Apna Saya Bhi Na Ham-rah Safar Mein Rakhna for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Apna Saya Bhi Na Ham-rah Safar Mein Rakhna in PDF.