Apne Qadmon Hi Ki Aawaz Se Chaunka Hota

apne qadmon hi ki aawaz se chaunka hota

yun mere pas se ho kar koi guzra hota

chandni se bhi sulag uThta hai virana-e-jaan

ye agar jaante suraj hi ko chaha hota

zindagi KHwab-e-pareshan hai bahaar ek KHayal

in ko milne se bahut pahle ye socha hota

dopahar guzri magar dhup ka aalam hai wahi

koi saya kisi diwar se utra hota

ret uD uD ke hawaon mein chali aati hai

shahr-e-arman sar-e-sahra na basaya hota

aarzu umr-e-gurezan to nahin tum to nahin

ye sarakta hua lamha kahin Thahra hota

pichhe pichhe koi saya sa chala aata tha

hae wo kaun tha muD kar use dekha hota

tujh se yak go na talluq mujhe ek umr se tha

zindagi tu ne hi baDh kar mujhe roka hota

jaane kya soch ke logon ne bujhae hain charagh

raat kaTti to sahar hoti ujala hota

apne daman ko jala kar main charaghan karta

agar is rakh mein 'aKHtar' koi shoala hota

(633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Qadmon Hi Ki Aawaz Se Chaunka Hota In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Apne Qadmon Hi Ki Aawaz Se Chaunka Hota is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Apne Qadmon Hi Ki Aawaz Se Chaunka Hota for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Apne Qadmon Hi Ki Aawaz Se Chaunka Hota in PDF.