Baja Ki Dushman-e-jaan Shahr-e-jaan Ke Bahar Hai

baja ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke bahar hai

magar main us ko kahun kya jo ghar ke andar hai

tamam naqsh parindon ki tarah utre hain

ki kaghazon pe khile paniyon ka manzar hai

main ek shaKHs jo kumbon mein rah gaya baT kar

main musht-e-KHak jo taqsim ho ke be-ghar hai

shajar kaTa to koi ghonsla kahin na raha

magar ek uDta parinda faza ka zewar hai

wo KHauf hai ki makin apne apne kamron mein hain

wo haal hai ki bayaban mein wusat-e-dar hai

kahin bhi peD nahin phir bhi patthar aae hain

gali mein koi nahin phir bhi shor-e-mahshar hai

main is wasia jazire mein wahid insan hun

ki mere chaaron taraf dasht ka samundar hai

koi bhi KHwab na unchi fasil se utra

magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai

tamam raushaniyan bujh gai hain basti mein

magar wo dip ki jis ka hawaon mein ghar hai

kisi se mujh ko gila kya ki kuchh kahun 'aKHtar'

ki meri zat hi KHud raste ka patthar hai

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baja Ki Dushman-e-jaan Shahr-e-jaan Ke Bahar Hai In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Baja Ki Dushman-e-jaan Shahr-e-jaan Ke Bahar Hai is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Baja Ki Dushman-e-jaan Shahr-e-jaan Ke Bahar Hai for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Baja Ki Dushman-e-jaan Shahr-e-jaan Ke Bahar Hai in PDF.