Barha ThiThka Hun KHud Bhi Apna Saya Dekh Kar

barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar

log bhi katrae kya kya mujh ko tanha dekh kar

mujh ko is ka gham nahin sailab mein ghar bah gae

muskuraya hun main be-mausam ki barkha dekh kar

ret ki diwar mein shamil hai KHun-e-zist bhi

ai hawao soch kar ai mauj-e-dariya dekh kar

apne hathon apni aankhen band karni paD gain

nighat-e-gul ke jilau mein gard-e-sahra dekh kar

mere chehre par KHarashen hain lakiren hath ki

meri qismat paDhne wale mera chehra dekh kar

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barha ThiThka Hun KHud Bhi Apna Saya Dekh Kar In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Barha ThiThka Hun KHud Bhi Apna Saya Dekh Kar is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Barha ThiThka Hun KHud Bhi Apna Saya Dekh Kar for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Barha ThiThka Hun KHud Bhi Apna Saya Dekh Kar in PDF.