Chehre Ke KHadd-o-Khaal Mein Aaine JaDe Hain

chehre ke KHadd-o-KHal mein aaine jaDe hain

hum umr-e-gurezan ke muqabil mein khaDe hain

har sal naya sal hai har sal gaya sal

hum uDte hue lamhon ki chaukhaT pe paDe hain

dekha hai ye parchhain ki duniya mein ki aksar

apne qad-o-qamat se bhi kuchh log baDe hain

shayad ki mile zat ke zindan se rihai

diwar ko chaTa hai hawaon se laDe hain

uDte hain parinde to yahan jhil bhi hogi

tapta hai bayaban-e-badan kos kaDe hain

shayad koi isa-nafas aae unhen puchhe

ye lafz jo be-jaan se kaghaz pe paDe hain

is baat ka mafhum main samjha nahin 'aKHtar'

taswir mein sahil pe kai kachche ghaDe hain

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chehre Ke KHadd-o-Khaal Mein Aaine JaDe Hain In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Chehre Ke KHadd-o-Khaal Mein Aaine JaDe Hain is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Chehre Ke KHadd-o-Khaal Mein Aaine JaDe Hain for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Chehre Ke KHadd-o-Khaal Mein Aaine JaDe Hain in PDF.