Dasht-dar-dasht Aks-e-dar Hai Yahan

dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan

tum bhi aao ki mera ghar hai yahan

phailti ja rahi hai surKH lakir

jaise koi lahu mein tar hai yahan

dhup se bach ke jaen aur kahan

apni zat ek ghana shajar hai yahan

wahi miTTi hai sab ke chehron par

aaina sab se ba-KHabar hai yahan

shaKH-dar-shaKH ek saya hai

chand jo hai pas-e-shajar hai yahan

Dub kar jis mein apni thah mili

lamha lamha wahi bhanwar hai yahan

pattharon mein hazar chehre hain

han magar koi tisha-gar hai yahan

kuchh mujhe bhi yahan qarar nahin

kuchh tera gham bhi dar-ba-dar hai yahan

zahr ki kaT kis se ho 'aKHtar'

waqt ka marg-e-neshtar hai yahan

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-dar-dasht Aks-e-dar Hai Yahan In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Dasht-dar-dasht Aks-e-dar Hai Yahan is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Dasht-dar-dasht Aks-e-dar Hai Yahan for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Dasht-dar-dasht Aks-e-dar Hai Yahan in PDF.