Harf-e-be-awaz Se Dahka Hua

harf-e-be-awaz se dahka hua

ek diya hun taq mein jalta hua

is taraf diwar ke bhi main hi tha

us taraf bhi main hi tha baiTha hua

aanganon mein phul the mahke hue

khiDkiyon mein chand tha Thahra hua

kore kaghaz par ajab tahrir thi

paDhte paDhte main jise andha hua

kya kahun dast-e-hawa ke shobade

ret par ek nam tha likkha hua

mere KHun ki gardishen bhi baDh gain

us qaba ka rang bhi gahra hua

ungliyon mein us badan ka loch hai

rang-o-KHushbu ka safar taza hua

raat bhar jis ki sada aati rahi

sochta hun wo parinda kya hua

jagti aankhon mein 'aKHtar' aks kya

main ne dekha qafila jata hua

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harf-e-be-awaz Se Dahka Hua In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Harf-e-be-awaz Se Dahka Hua is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Harf-e-be-awaz Se Dahka Hua for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Harf-e-be-awaz Se Dahka Hua in PDF.