Harif-e-dastan Karna PaDa Hai

harif-e-dastan karna paDa hai

zamin ko aasman karna paDa hai

nikal kar aa gae hain jangalon mein

makan ko la-makan karna paDa hai

sawa neze pe suraj aa gaya tha

lahu ko saeban karna paDa hai

bahut tarik thin hasti ki rahen

badan ko kahkashan karna paDa hai

kise malum lams un ungliyon ka

hawa ko raaz-dan karna paDa hai

wo shayad koi sachchi baat kah de

use phir bad-guman karna paDa hai

main apne sare patte fash karta

magar aisa kahan karna paDa hai

safar aasan nahin haraf o qalam ka

hamein tai haft-KHwan karna paDa hai

tha jis se iKHtilaf-e-rae mumkin

usi ko mehrban karna paDa hai

saf-e-ada mein apne bazuon ko

mujhe 'aKHtar' kaman karna paDa hai

(626) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harif-e-dastan Karna PaDa Hai In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Harif-e-dastan Karna PaDa Hai is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Harif-e-dastan Karna PaDa Hai for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Harif-e-dastan Karna PaDa Hai in PDF.