HonTon Pe Qarz-e-harf-e-wafa Umr Bhar Raha

honTon pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha

maqruz tha so chup ki sada umr bhar raha

kuchh darguzar ki un ko bhi aadat na thi kabhi

kuchh main bhi apni zid pe uDa umr bhar raha

wo tajrabe hue ki mere KHun ki KHair ho

yaro main apne ghar se juda umr bhar raha

mausam ka habs shab ki siyahi fasil-e-shahr

mujrim tha sar jhukae khaDa umr bhar raha

subh o masa ki gardish-e-paiham ke bawajud

main darmiyan-e-subh-o-masa umr bhar raha

in barishon mein kaun bahe KHar-o-KHas ke sath

suraj ki le ke sar pe rida umr bhar raha

hathon se oT ki to sabhi ungliyan jalin

phir bhi hawa ki zad pe diya umr bhar raha

ek KHun ki KHalij mere samne rahi

aur mere pichhe saya mera umr bhar raha

'aKHtar' ye jangalon mein usi ke nishan hain

jo KHar KHar aabla-pa umr bhar raha

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

HonTon Pe Qarz-e-harf-e-wafa Umr Bhar Raha In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. HonTon Pe Qarz-e-harf-e-wafa Umr Bhar Raha is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem HonTon Pe Qarz-e-harf-e-wafa Umr Bhar Raha for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download HonTon Pe Qarz-e-harf-e-wafa Umr Bhar Raha in PDF.