Hum Aksar Tirgi Mein Apne Pichhe Chhup Gae Hain

hum aksar tirgi mein apne pichhe chhup gae hain

magar jab raston mein chand ubhra chal paDe hain

zamana apni uryani pe KHun roega kab tak

hamein dekho ki apne aap ko oDhe hue hain

mera bistar kisi footpath par ja kar laga do

mere bachche abhi se mujh se tarka mangte hain

buland aawaz de kar dekh lo koi to hoga

jo galiyan so gai hain to parinde jagte hain

koi tafsil hum se puchhna ho puchh lije

ki hum bhi aaine ke samne barson rahe hain

abhi ai dastan-go dastan kahta chala ja

abhi hum jagte hain jumbish-e-lab dekhte hain

hawa apne hi jhonkon ka taaqub kar rahi hai

ki uDte patte phir aankhon se ojhal ho rahe hain

hamein bhi is kahani ka koi kirdar samjho

ki jis mein lab pe mohren hain dariche bolte hain

idhar se paniyon ka rela kab ka ja chuka hai

magar bachche daraKHton se abhi chimTe hue hain

mujhe to chalte rahna hai kisi jaanib bhi jaun

ki 'aKHtar' mere qadmon mein abhi tak raste hain

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aksar Tirgi Mein Apne Pichhe Chhup Gae Hain In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Hum Aksar Tirgi Mein Apne Pichhe Chhup Gae Hain is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Hum Aksar Tirgi Mein Apne Pichhe Chhup Gae Hain for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Hum Aksar Tirgi Mein Apne Pichhe Chhup Gae Hain in PDF.