Jo Mujhko Dekh Ke Kal Raat Ro PaDa Tha Bahut

jo mujh ko dekh ke kal raat ro paDa tha bahut

wo mera kuchh bhi na tha phir bhi aashna tha bahut

main ab bhi raat gae us ki gunj sunta hun

wo harf kam tha bahut kam magar sada tha bahut

zamin ke sine mein suraj kahan se utre hain

falak pe dur koi baiTha sochta tha bahut

mujhe jo dekha to kaghaz ko purze purze kiya

wo apni shakl ke KHake bana raha tha bahut

main apne hath se nikla to phir kahin na mila

zamana mere taaqub mein bhi gaya tha bahut

shikast-o-reKHt badan ki ab apne bas mein nahin

use bataun ki wo ramz-ashna tha bahut

bisat us ne ulaT di na jaane soch ke kya

abhi to logon mein jine ka hausla tha bahut

ajab sharik-e-safar tha ki jab paDaw kiya

wo mere pas na Thahra magar ruka tha bahut

sehr ke chaak-e-gareban ko dekhne ke liye

wo shaKHs subh talak shab ko jagta tha bahut

wo kam-suKHan tha magar aisa kam-suKHan bhi na tha

ki sach hi bolta tha jab bhi bolta tha bahut

hawa ke lams se chehre pe phul khilte the

wo chandni sa badan mauja-e-saba tha bahut

pas-e-daricha do aankhen chamakti rahti thin

ki us ko nind mein chalne ka aariza tha bahut

kahaniyon ki faza bhi use thi ras 'aKHtar'

haqiqaton se bhi ohda-bara hua tha bahut

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mujhko Dekh Ke Kal Raat Ro PaDa Tha Bahut In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Jo Mujhko Dekh Ke Kal Raat Ro PaDa Tha Bahut is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Jo Mujhko Dekh Ke Kal Raat Ro PaDa Tha Bahut for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Jo Mujhko Dekh Ke Kal Raat Ro PaDa Tha Bahut in PDF.