Mere Lahu Mein Usne Naya Rang Bhar Diya

mere lahu mein us ne naya rang bhar diya

suraj ki raushni ne baDa kaam kar diya

hathon pe mere apne lahu ka nishan tha

logon ne us ke qatl ka ilzam dhar diya

gandum ka bij pani ki chhagal aur ek charagh

jab main chala to us ne ye zad-e-safar diya

jaga to mahtab ki kunji sirhane thi

main KHwab mein tha jab mujhe raushan nagar diya

us ko to us ke shahr ne kuchh bhi diya nahin

aur us ne phir bhi shahr ko tohfe mein sar diya

mera badan to radd-e-amal mein KHamosh tha

meri zaban ne zaiqa-e-KHushk-o-tar diya

wo harf-ashna hai mujhe ye guman na tha

us ne to sab ko naqsh-ba-diwar kar diya

yun bhi to us ne hausla-afzai ki meri

harf-e-suKHan ke sath hi zaKHm-e-hunar diya

aKHtar yahi nahin ki mujhe baal-o-par mile

us ne to umr bhar mujhe ehsas-e-par diya

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Lahu Mein Usne Naya Rang Bhar Diya In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Mere Lahu Mein Usne Naya Rang Bhar Diya is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Mere Lahu Mein Usne Naya Rang Bhar Diya for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Mere Lahu Mein Usne Naya Rang Bhar Diya in PDF.