Manzilon Ke Fasle Diwar-o-dar Mein Rah Gae

manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae

kya safar tha mere sare KHwab ghar mein rah gae

ab koi taswir bhi apni jagah qaem nahin

ab hawa ke rang hi meri nazar mein rah gae

jitne manzar the mere ham-rah ghar tak aae hain

aur pas-e-manzar sawad-e-rah-guzar mein rah gae

apne qadmon ke nishan bhi band kamron mein rahe

taqchon par bhi diye KHali nagar mein rah gae

kar gai hai nam se ghafil hamein apni shanaKHt

sirf aawazon ke sae hi KHabar mein rah gae

na-KHudaon ne palaT kar jaane kyun dekha nahin

kashtiyon ke to kai taKHte bhanwar mein rah gae

kaisi kaisi aahaTen alfaz ka paikar banin

kaise kaise aks meri chashm-e-tar mein rah gae

hath ki sari lakiren panw ke talwon mein thin

aur mere ham-safar gard-e-safar mein rah gae

kya hujum-e-rang 'aKHtar' kya farogh-e-bu-e-gul

mausamon ke zaiqe buDhe shajar mein rah gae

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzilon Ke Fasle Diwar-o-dar Mein Rah Gae In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Manzilon Ke Fasle Diwar-o-dar Mein Rah Gae is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Manzilon Ke Fasle Diwar-o-dar Mein Rah Gae for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Manzilon Ke Fasle Diwar-o-dar Mein Rah Gae in PDF.