Maine Yun Dekha Use Jaise Kabhi Dekha Na Tha

main ne yun dekha use jaise kabhi dekha na tha

aur jab dekha to aankhon par yaqin aata na tha

baam-o-dar se saKHt barish mein bhi uTThega dhuan

yun bhi hota hai mohabbat mein kabhi socha na tha

aandhiyon ko rauzan-e-zindan se hum dekha kiye

dur tak phaila hua sahra tha naqsh-e-pa na tha

log lae hain kahan se shab ko marmar ke charagh

un chaTanon mein to din ko rasta paida na tha

shahr ki hangama-arai mein kho kar rah gaya

main ki apne ghar mein bhi mujh ko sukun milta na tha

barf apne-ap ghul jati hai suraj ho na ho

sham se pahle ye jaana tha magar samjha na tha

un dinon bhi shahr mein sailab aate the bahut

wadiyon mein jab kahin baadal abhi barsa na tha

raat ki tanhaiyon mein jis se chaunk uTThe the hum

apni hi aawaz thi shoala koi chamka na tha

wo bhi sach kahte hain 'aKHtar' log begane hue

hum bhi sachche hain ki duniya ka chalan aisa na tha

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Yun Dekha Use Jaise Kabhi Dekha Na Tha In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Maine Yun Dekha Use Jaise Kabhi Dekha Na Tha is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Maine Yun Dekha Use Jaise Kabhi Dekha Na Tha for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Maine Yun Dekha Use Jaise Kabhi Dekha Na Tha in PDF.