Main Us Ka Nam Ghule Paniyon Pe Likhta Kya

main us ka nam ghule paniyon pe likhta kya

wo ek mauj-e-rawan hai kahin pe rukta kya

tamam harf mere lab pe aa ke jam se gae

na jaane main kaha kya aur us ne samjha kya

sabhon ko apni gharaz thi sabhon ko apni baqa

mere liye mere nazdik koi aata kya

ubharta chand mera ham-safar tha dariya mein

main Dubte hue suraj ko muD ke takta kya

parinde ghar ki munDeron pe aa ke baiTh gae

main ajnabi tha ishaara koi samajhta kya

firaq o wasl to taswiren un ke nam ki hain

main in mein rang kisi ke lahu se bharta kya

main apne ghar mein nahin tha magar kahin bhi na tha

udhar se mujh ko guzarte kisi ne dekha kya

tamam shahr rawan hai mere taaqub mein

main aap kya mere ghar ki taraf ko rasta kya

ye raushni kabhi pahle na thi yahan 'aKHtar'

sitara raat ki palkon pe koi chamka kya

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Us Ka Nam Ghule Paniyon Pe Likhta Kya In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Main Us Ka Nam Ghule Paniyon Pe Likhta Kya is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Main Us Ka Nam Ghule Paniyon Pe Likhta Kya for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Main Us Ka Nam Ghule Paniyon Pe Likhta Kya in PDF.