Main Harf Dekhun Ki Raushni Ka Nisab Dekhun

main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun

magar ye aalam ki Tahniyon par gulab dekhun

purane KHwabon se reza reza badan hua hai

ye chahta hun ki ab naya koi KHwab dekhun

ye raste to meri hatheli ke tarjuman hain

main in lakiron mein zindagi ki kitab dekhun

murajat ka safar to mumkin nahin raha hai

main chalta jaun ki mausamon ka azab dekhun

main apni taswir dekh kar mutmain kahan hun

wo din bhi aae lahu ko jab kaamyab dekhun

(622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Harf Dekhun Ki Raushni Ka Nisab Dekhun In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Main Harf Dekhun Ki Raushni Ka Nisab Dekhun is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Main Harf Dekhun Ki Raushni Ka Nisab Dekhun for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Main Harf Dekhun Ki Raushni Ka Nisab Dekhun in PDF.