Phir Ye Hua Ki Log Darichon Se HaT Gae

phir ye hua ki log darichon se haT gae

lekin wo gard thi ki dar-o-baam aT gae

kuchh log jhankne lage diwar-e-shahr se

kuchh log apne KHun ke andar simaT gae

wo peD to nahin tha ki apni jagah rahe

hum shaKH to nahin the magar phir bhi kaT gae

pur-haul jangalon mein hawa chiKHti phiri

wapas gharon ko kyun na musafir palaT gae

itne to raste mein bhi sae nahin mile

jitne ki log aae aur aa kar palaT gae

miTTi ke in charaghon ki himmat to dekhiye

jo jate jate shab ki safon ko ulaT gae

jab hum se apni zat ka patthar na uTh saka

'aKHtar' hum aaine ke muqabil hi DaT gae

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ye Hua Ki Log Darichon Se HaT Gae In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Phir Ye Hua Ki Log Darichon Se HaT Gae is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Phir Ye Hua Ki Log Darichon Se HaT Gae for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Phir Ye Hua Ki Log Darichon Se HaT Gae in PDF.