Qarya-e-jaan Se Guzar Kar Humne Ye Dekha Bhi Hai

qarya-e-jaan se guzar kar hum ne ye dekha bhi hai

jis jagah unchi chaTanen hain wahan dariya bhi hai

dard ka chaDhta samundar jism ka kachcha makan

aur un ke darmiyan aawaz ka sahra bhi hai

ruh ki gahrai mein pata hun peshani ke zaKHm

sirf chaha hi nahin main ne use puja bhi hai

raat ki parchhaiyan bhi ghar ke andar band hain

sham ki dahliz par suraj ka naqsh-e-pa bhi hai

chand ki kirnen KHarashen hain dar-o-diwar par

aur dar-o-diwar ke pahlu mein ek saya bhi hai

ghar ka darwaza muqaffal hai agar dekhe koi

andar ek kohram hai jaise koi rahta bhi hai

jab main 'aKHtar' pattharon ko aaina dikhla chuka

main ne dekha aainon ke hath mein tesha bhi hai

(654) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarya-e-jaan Se Guzar Kar Humne Ye Dekha Bhi Hai In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Qarya-e-jaan Se Guzar Kar Humne Ye Dekha Bhi Hai is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Qarya-e-jaan Se Guzar Kar Humne Ye Dekha Bhi Hai for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Qarya-e-jaan Se Guzar Kar Humne Ye Dekha Bhi Hai in PDF.