RuKHsat-e-raqs Bhi Hai Panw Mein Zanjir Bhi Hai

ruKHsat-e-raqs bhi hai panw mein zanjir bhi hai

sar-e-manzar magar ek bolti taswir bhi hai

mere shanon pe farishton ka bhi hai bar-e-giran

aur mere samne ek malbe ki tamir bhi hai

zaicha apna jo dekha hai to sar yaad aaya

jaise in hathon pe kanda koi taqdir bhi hai

KHwahishen KHun mein utri hain sahifon ki tarah

in kitabon mein tere hath ki tahrir bhi hai

jis se milna tha muqaddar wo dobara na mila

aur imkan na tha jis ka wo inan-gir bhi hai

sar-e-diwar nawishte bhi kai dekhta hun

pas-e-diwar magar hasrat-e-tamir bhi hai

main ye samjha tha sulagta hun faqat main hi yahan

ab jo dekha to ye ehsas hama-gir bhi hai

yun na dekho ki zamana mutwajja ho jae

ki is andaz-e-nazar mein meri tashhir bhi hai

main ne jo KHwab abhi dekha nahin hai 'aKHtar'

mera har KHwab usi KHwab ki tabir bhi hai

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKHsat-e-raqs Bhi Hai Panw Mein Zanjir Bhi Hai In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. RuKHsat-e-raqs Bhi Hai Panw Mein Zanjir Bhi Hai is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem RuKHsat-e-raqs Bhi Hai Panw Mein Zanjir Bhi Hai for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download RuKHsat-e-raqs Bhi Hai Panw Mein Zanjir Bhi Hai in PDF.