ShaKHon Pe ZaKHm Hain Ki Shagufe Khile Hue

shaKHon pe zaKHm hain ki shagufe khile hue

ab ke farogh-e-gul ke ajab silsile hue

KHurshid ka jamal kise ho saka nasib

taron ke Dubte hi rawan qafile hue

apna hi dhyan aur kahin tha nazar kahin

warna the rah mein gul-o-ghunche khile hue

tum mutmain raho ki na dekhen na kuchh kahen

aankhon ke sath sath hain lab bhi sile hue

mana kisi ka dard gham-e-zindagi nahin

phir bhi kisi ke dard se kya kya gile hue

jo sans aa ke mas hue wo manzilen nahin

lamhe jo hum pe bit gae fasle hue

'aKHtar' mujhe ye Dar hai ki daman na jal uThe

pata hun aansuon mein sharare mile hue

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKHon Pe ZaKHm Hain Ki Shagufe Khile Hue In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. ShaKHon Pe ZaKHm Hain Ki Shagufe Khile Hue is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem ShaKHon Pe ZaKHm Hain Ki Shagufe Khile Hue for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download ShaKHon Pe ZaKHm Hain Ki Shagufe Khile Hue in PDF.