Shikari Raat Bhar BaiThe Rahe Unchi Machanon Par

shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par

musafir phir bhi lauT aane ko ja pahunche Thikanon par

kisi ne jhank kar dekha na bahar hi koi aaya

hawa ne umr bhar kya kya na dastak di makanon par

KHud apna aks-e-ruKH hai jo kisi ko rok le baDh kar

wagarna aadmi kab mustaqil Thahra chaTanon par

uThae aasman ke dukh bhi kis mein itni himmat hai

zamin hi ek bhaari hai hamein to apni jaanon par

darichon ne ye manzar aaj pahli bar dekha hai

ki tum jaane kahan the aur suraj tha makanon par

gharon se jab nikal aae to sab ne rah li apni

magar duniya ki nazren hain parindon ki uDanon par

hawa yun hi to hum ko le ke peDon tak nahin aai

hamara nam tha likkha hua gandum ke danon par

ye mana aandhiyon ka haq hai sab par yurishen karna

magar ye main ki meri aankh hai KHasta makanon par

kuchh itne ho gae manus sannaTon se hum 'aKHtar'

guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikari Raat Bhar BaiThe Rahe Unchi Machanon Par In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Shikari Raat Bhar BaiThe Rahe Unchi Machanon Par is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Shikari Raat Bhar BaiThe Rahe Unchi Machanon Par for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Shikari Raat Bhar BaiThe Rahe Unchi Machanon Par in PDF.