Shayan-e-zindagi Na The Hum Moatabar Na The

shayan-e-zindagi na the hum mo'atabar na the

han kam-nazar the itne magar kam-nazar na the

ab ke baras jo phul khila kaghzi hi tha

ab ke to dur dur kahin barg-e-tar na the

har phul ek zaKHm tha har shaKH ek lash

goya ki rah mein thin saliben shajar na the

baadal uThe to ret ke zarre baras paDe

hum ko bhigo gae hain wo daman jo tar na the

kahte the ek ju-e-rawan hai chaman chaman

dekha to bastiyon ke kinare bhi tar na the

Takra ke sar ko apna lahu aap chaTte

achchha hua ki dasht mein diwar-o-dar na the

dariya ka sina chir ke ubhre jo sath par

daman mein sang-reze the 'aKHtar' guhar na the

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shayan-e-zindagi Na The Hum Moatabar Na The In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Shayan-e-zindagi Na The Hum Moatabar Na The is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Shayan-e-zindagi Na The Hum Moatabar Na The for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Shayan-e-zindagi Na The Hum Moatabar Na The in PDF.