Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri

thi titliyon ke taaqub mein zindagi meri

wo shahr kya hua jis ki thi har gali meri

main apni zat ki tashrih karta phirta tha

na jaane phir kahan aawaz kho gai meri

ye sarguzisht-e-zamana ye dastan-e-hayat

adhuri baat mein bhi rah gai kami meri

hawa-e-koh-e-nida ek zara Thahar ki abhi

zamana ghaur se sunta hai an-kahi meri

main itne zor se chiKHa chaTaKH gaya hai badan

phir is ke baad kisi ne nahin suni meri

ye darmiyan ka KHala hi mera nahin warna

ye aasman bhi mera zamin bhi meri

kise KHabar ki guhar kaise hath aate hain

samundaron se bhi gahri hai KHamushi meri

koi to aae mere pas do ghaDi baiThe

ki kar gai mujhe tanha KHud-agahi meri

kabhi kabhi to zamana raha nigahon mein

kabhi kabhi nazar aai na shakl bhi meri

mujhe KHabar hai kahan hun main kaun hun 'aKHtar'

ki mere nam se surat giri hui meri

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri in PDF.