Tilism-e-gumbad-e-be-dar Kisi Pe Wa Na Hua

tilism-e-gumbad-e-be-dar kisi pe wa na hua

sharar to lapka magar shola-e-sada na hua

hamein zamane ne kya kya na aaine dikhlae

magar wo aks jo aaina-ashna na hua

bayaz-e-jaan mein sabhi sher KHub-surat the

kisi bhi misra-e-rangin ka hashiya na hua

na jaane log Thaharte hain waqt-e-sham kahan

hamein to ghar mein bhi rukne ka hausla na hua

wo shahr aaj bhi mere lahu mein shamil hai

wo jis se tark-e-talluq ko ek zamana hua

yahi nahin ki sar-e-shab qayamaten TuTin

sahar ke waqt bhi in bastiyon mein kya na hua

main dasht-e-jaan mein bhaTak kar Thahar gaya 'aKHtar'

phir is ke baad mera koi rasta na hua

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilism-e-gumbad-e-be-dar Kisi Pe Wa Na Hua In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Tilism-e-gumbad-e-be-dar Kisi Pe Wa Na Hua is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Tilism-e-gumbad-e-be-dar Kisi Pe Wa Na Hua for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Tilism-e-gumbad-e-be-dar Kisi Pe Wa Na Hua in PDF.