Sadhae Hue Parinde

sawal bachche ne jo kiye the

jawab un ka dabi zaban se wahi diya hai jo mujh ko ajdad se mila tha

wahi purane sawal us ke

zamin agar KHam hai to us par hamare puKHta makan kyun hain?

agar gulabon ko rang KHurshid se mila hai

to dhup ka husn kaun se phul ki ata hai?

wahi purane sawal us ke

wahi purana jawab mera

wahi girah warid-e-chaman ki sada-e-parwaz par laga di hai

jis ka halqa meri zaban par paDa hua hai

mujhe yaqin hai ki ye naya ham-safir mera

meri tarah se zamin ke shishe ki shash-jihat se na aage parwaz kar sakega

wo ek miThi sada ki naddi

jo raat din ki jali zaminon se dur sarsabz jangalon mein rawan hai naghme

koi sadhaya hua parinda na us ke sar-basta sahilon par utar sakega

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadhae Hue Parinde In English By Famous Poet Akhtar Husain Jafri. Sadhae Hue Parinde is written by Akhtar Husain Jafri. Read famous Poem Sadhae Hue Parinde for youth and Student by Akhtar Husain Jafri. Free Download Sadhae Hue Parinde in PDF.