School
ujli dhup hai farsh-e-giyah par
ujli dhup mein farsh-e-giyah par raushan aur daraKHshan lamhon ki shabnam hai
sabz daraKHton par KHandan chehron ki chandi hai, sona hai
un lamhon se
un phulon se
sabz daraKHton ke patton se
juz-danon ki jeben bhar lo
kal jab suraj zist ki chhat par
barf ki surat jam jaega
kal jab raaten rakh ki surat bujh jaengi
us indhan ke sukhe patte
aatish-dan ke kaam aaenge
(844) Peoples Rate This