SuKHan Darmanda Hai
KHunuk-mausam nahin guzra
safar suraj kare to abr us ke sath chalta hai
abhi naddi ke pani par hawa ke taziyane se nishan paida nahin hota
tabar ki zarb-kari se, shaKHon se zamin par
patta patta harf girte hain
koi fiqara shajar ke zaKHm-e-mohmal ki pazirai nahin karta
lahu mani nahin deta
to phir qirtas-e-ahmar ho ki abyaz rang-e-pairahan se
KHushbu-e-suKHan nikle to ji bahle
mahakta hai kahin sayyaad ke fitrak mein nafa
mere mahbub ka wada
isi tishna sitare ke taaqub mein suKHan apna falak mahtab o anjum ke safinon se
bhara dariya ganwa baiTha
masafat satr se ta-satr kis suraj pe tai hogi
koi TukDa falak ka hath aae to rajaz likkhen
dua ke baadban kholen
kise kis ghaT utarna hai?
kaho un se jo agle morchon se sulh ka paigham dete hain
muqabil lauh-e-mazmun-e-tasalli bhi hai
lahn-e-KHud-girafta bhi
kise kis ghaT utarna hai
sarab-e-rang mein mahw-e-safar un aahuwan-e-nafa-e-gum-karda se, kuchh puchho
kise kis ghaT utarna hai
(858) Peoples Rate This