Tark-e-wada Ki Tark-e-KHwab Tha Wo

tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo

kaam sab ho chuka jo karna tha

bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise

subh tak, aansuon se bharna tha

wo suKHan us ke muddaa mein nahin

mujh ko jis baat se mukarna tha

koi taqsim-e-kar-e-mahr-o-nujum

ya hisab-e-shab-e-nuzul koi

dasht-e-la-hasili ki mahdudat

shahr-e-maharam ka arz o tul koi

kuchh nahin darmiyan jaza na saza

sang, dushnam, dagh, phul koi

us taraf ab ruKH-e-talluq hai

jahan sud-o-ziyan-e-zat nahin

Dar nahin nind TuT jaane ka

pas-e-wada ki ehtiyat nahin

mujh ko jis baat se mukarna tha

us ke dawe mein ab wo baat nahin

bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise

subh tak, aansuon se bharna tha

tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo

kaam sab ho chuka jo karna tha

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tark-e-wada Ki Tark-e-KHwab Tha Wo In English By Famous Poet Akhtar Husain Jafri. Tark-e-wada Ki Tark-e-KHwab Tha Wo is written by Akhtar Husain Jafri. Read famous Poem Tark-e-wada Ki Tark-e-KHwab Tha Wo for youth and Student by Akhtar Husain Jafri. Free Download Tark-e-wada Ki Tark-e-KHwab Tha Wo in PDF.