Chandni Ke Hath Bhi Jab Ho Gae Shal Raat Ko

chandni ke hath bhi jab ho gae shal raat ko

apne sine par sambhaala main ne bojhal raat ko

raat bhar chhaya raha ghar ki faza par ek hiras

dastaken deta tha dar par koi pagal raat ko

chandni mein ghul gaya jab dil ki mayusi ka zahr

main ne KHud kafna diya sayon mein komal raat ko

karb ke lawe ubalte the sukun ke aas-pas

uf wo ninden wo giran-KHwabi ki daldal raat ko

aaj phir dhundla gai 'aKHtar' meri sham-e-firaq

sochta hun aaj phir barsenge baadal raat ko

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chandni Ke Hath Bhi Jab Ho Gae Shal Raat Ko In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Chandni Ke Hath Bhi Jab Ho Gae Shal Raat Ko is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Chandni Ke Hath Bhi Jab Ho Gae Shal Raat Ko for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Chandni Ke Hath Bhi Jab Ho Gae Shal Raat Ko in PDF.