Dil Wo Pyasa Hai Ki Dariya Ka Tamasha Dekhe

dil wo pyasa hai ki dariya ka tamasha dekhe

aur phir lahr na dekhe kaf-e-dariya dekhe

main har ek haal mein tha gardish-e-dauran ka amin

jis ne duniya nahin dekhi mera chehra dekhe

ab bhi aati hai teri yaad pa is karb ke sath

TuTti nind mein jaise koi sapna dekhe

rang ki aanch mein jalta hua KHushbu ka badan

aankh us phul ki taswir mein kya kya dekhe

koi choTi nahin ab to mere qad se aage

ye zamana to abhi aur bhi uncha dekhe

phir wahi dhund mein lipTa hua paikar hoga

kaun be-kar mein uThta hua parda dekhe

ek ehsas-e-nadamt se laraz uThta hun

jab ram-e-mauj meri wusat-e-sahra dekhe

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Wo Pyasa Hai Ki Dariya Ka Tamasha Dekhe In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Dil Wo Pyasa Hai Ki Dariya Ka Tamasha Dekhe is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Dil Wo Pyasa Hai Ki Dariya Ka Tamasha Dekhe for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Dil Wo Pyasa Hai Ki Dariya Ka Tamasha Dekhe in PDF.