Duniya Bhi Pesh Aai Bahut Be-ruKHi Ke Sath

duniya bhi pesh aai bahut be-ruKHi ke sath

hum ne bhi zaKHm khae baDi sadgi ke sath

ek musht-e-KHak aag ka dariya lahu ki lahr

kya kya riwayaten hain yahan aadmi ke sath

apnon ki chahaton ne bhi kya kya diye fareb

rote rahe lipaT ke har ek ajnabi ke sath

jangal ki dhup chhanw hi jangal ka husn hai

sayon ko bhi qubul karo raushni ke sath

tum raste ki gard na ho jao to kaho

do-chaar gam chal ke to dekho kisi ke sath

koi dhuan uTha na koi raushni hui

jalti rahi hayat baDi KHamushi ke sath

(1515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Bhi Pesh Aai Bahut Be-ruKHi Ke Sath In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Duniya Bhi Pesh Aai Bahut Be-ruKHi Ke Sath is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Duniya Bhi Pesh Aai Bahut Be-ruKHi Ke Sath for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Duniya Bhi Pesh Aai Bahut Be-ruKHi Ke Sath in PDF.