Dil Ke Har ZaKHm Ko Palkon Pe Sajaya To Gaya

dil ke har zaKHm ko palkon pe sajaya to gaya

aap ke nam pe ek jashn manaya to gaya

mai-e-kohna na sahi KHun-e-tamanna hi sahi

ek paimana mere samne laya to gaya

KHair apna nahin baghi hi samajh kar hum ko

teri mahfil mein kisi taur bulaya to gaya

ab ye baat aur ki zindan mein bhi zanjiren hain

hum ko gulshan ki balaon se bachaya to gaya

dar pe chaDh ke bhi KHush hain ki hamein is dil mein

is bahane hi sahi apna banaya to gaya

ab ye qismat hi na jage to kare kya koi

roz-o-shab ek naya tufan uThaya to gaya

kya hai manzil se agar ho gae hum dur 'aKHtar'

rahbaron ke hamein halqe se nikala to gaya

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Har ZaKHm Ko Palkon Pe Sajaya To Gaya In English By Famous Poet Akhtar Lakhnvi. Dil Ke Har ZaKHm Ko Palkon Pe Sajaya To Gaya is written by Akhtar Lakhnvi. Read famous Poem Dil Ke Har ZaKHm Ko Palkon Pe Sajaya To Gaya for youth and Student by Akhtar Lakhnvi. Free Download Dil Ke Har ZaKHm Ko Palkon Pe Sajaya To Gaya in PDF.