Dil Mein Tisen Jag UThti Hain Pahlu Badalte Waqt Bahut

dil mein Tisen jag uThti hain pahlu badalte waqt bahut

apna zamana yaad aata hai suraj Dhalte waqt bahut

wo parcham wo sar ke turre aur wo safine apne the

jin ko dekh ke shoale bhi roe the jalte waqt bahut

un shishon ke rezon ka marham hai apne zaKHmon par

lamha lamha jo TuTe talwaren chalte waqt bahut

pal bhar mein pani hote dekhe hain sanam kirdaron ke

hum kaise kah den lagta hai sang pighalte waqt bahut

sune kitne baam hue kitne aangan be-nur hue

chand se chehre yaad aate hain chand nikalte waqt bahut

ab har ghar ki chaukhaT hum par hansti hai to raaz khula

phuT phuT kar roi thin kyun dahlizen chalte waqt bahut

do naslon ki kashti thi wo pichhle dinon jo Dub gai

bhige jismon walo lagega tum ko sambhalte waqt bahut

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Tisen Jag UThti Hain Pahlu Badalte Waqt Bahut In English By Famous Poet Akhtar Lakhnvi. Dil Mein Tisen Jag UThti Hain Pahlu Badalte Waqt Bahut is written by Akhtar Lakhnvi. Read famous Poem Dil Mein Tisen Jag UThti Hain Pahlu Badalte Waqt Bahut for youth and Student by Akhtar Lakhnvi. Free Download Dil Mein Tisen Jag UThti Hain Pahlu Badalte Waqt Bahut in PDF.