Jo Bhi Mil Jata Hai Ghar-bar Ko De Deta Hun

jo bhi mil jata hai ghar-bar ko de deta hun

ya kisi aur talabgar ko de deta hun

dhup ko deta hun tan apna jhulasne ke liye

aur saya kisi diwar ko de deta hun

jo dua apne liye mangni hoti hai mujhe

wo dua bhi kisi gham-KHwar ko de deta hun

mutmain ab bhi agar koi nahin hai na sahi

haq to main pahle hi haqdar ko de deta hun

jab bhi likhta hun main afsana yahi hota hai

apna sab kuchh kisi kirdar ko de deta hun

KHud ko kar deta hun kaghaz ke hawale aksar

apna chehra kabhi aKHbar ko deta hun

meri dukan ki chizen nahin bikti 'nazmi'

itni tafsil KHaridar ko de deta hun

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bhi Mil Jata Hai Ghar-bar Ko De Deta Hun In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. Jo Bhi Mil Jata Hai Ghar-bar Ko De Deta Hun is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem Jo Bhi Mil Jata Hai Ghar-bar Ko De Deta Hun for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download Jo Bhi Mil Jata Hai Ghar-bar Ko De Deta Hun in PDF.