Kab Logon Ne Alfaz Ke Patthar Nahin Phenke

kab logon ne alfaz ke patthar nahin phenke

wo KHat bhi magar main ne jala kar nahin phenke

Thahre hue pani ne ishaara to kiya tha

kuchh soch ke KHud main ne hi patthar nahin phenke

ek tanz hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun

main ne to kabhi phul masal kar nahin phenke

waise to irada nahin tauba-shikani ka

lekin abhi TuTe hue saghar nahin phenke

kya baat hai us ne meri taswir ke TukDe

ghar mein hi chhupa rakkhe hain bahar nahin phenke

darwazon ke shishe na badalwaiye 'nazmi'

logon ne abhi hath se patthar nahin phenke

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Logon Ne Alfaz Ke Patthar Nahin Phenke In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. Kab Logon Ne Alfaz Ke Patthar Nahin Phenke is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem Kab Logon Ne Alfaz Ke Patthar Nahin Phenke for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download Kab Logon Ne Alfaz Ke Patthar Nahin Phenke in PDF.