Ye Aane Wala Zamana Hamein Bataega

ye aane wala zamana hamein bataega

wo ghar banega apna ki ghar basaega

main sare shahr mein badnam hun KHabar hai mujhe

wo mere nam se kya faeda uThaega

phir us ke baad ujale KHaridne honge

zara si der mein suraj to Dub jaega

hai sair-gah ye kachchi munDer sanpon ki

yahan se kaise koi rasta banega

sunai deti nahin ghar ke shor mein dastak

main jaanta hun jo aaega lauT jaega

main soch bhi nahin sakta tha un uDanon mein

wo apne ganw ki miTTi ko bhul jaega

hazaron rog to pale hue ho tum 'nazmi'

bachane wala kahan tak tumhein bachaega

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aane Wala Zamana Hamein Bataega In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. Ye Aane Wala Zamana Hamein Bataega is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem Ye Aane Wala Zamana Hamein Bataega for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download Ye Aane Wala Zamana Hamein Bataega in PDF.