Silsila ZaKHm ZaKHm Jari Hai

silsila zaKHm zaKHm jari hai

ye zamin dur tak hamari hai

is zamin se ajab talluq hai

zarre zarre se rishtedari hai

main bahut kam kisi se milta hun

jis se yari hai us se yari hai

naw kaghaz ki chhoD di main ne

ab samundar ki zimmedari hai

bech Dala hai din ka har lamha

raat thoDi bahut hamari hai

ret ke ghar to bah gae lekin

barishon ka KHulus jari hai

koi 'nazmi' guzar kar dekhe

main ne jo zindagi guzari hai

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsila ZaKHm ZaKHm Jari Hai In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. Silsila ZaKHm ZaKHm Jari Hai is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem Silsila ZaKHm ZaKHm Jari Hai for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download Silsila ZaKHm ZaKHm Jari Hai in PDF.