Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai

likha hai mujh ko bhi likhna paDa hai

jahan se hashiya chhoDa gaya hai

agar manus hai tum se parinda

to phir uDne ko par kyun tolta hai

kahin kuchh hai kahin kuchh hai kahin kuchh

mera saman sab bikhra hua hai

main ja baiThun kisi bargad ke niche

sukun ka bas yahi ek rasta hai

qayamat dekhiye meri nazar se

sawa neze pe suraj aa gaya hai

shajar jaane kahan ja kar lagega

jise dariya baha kar le gaya hai

abhi to ghar nahin chhoDa hai main ne

ye kis ka nam taKHti par likha hai

bahut roka hai is ko pattharon ne

magar pani ko rasta mil gaya hai

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai in PDF.