Riwayat Ki TaKHliq

mere naghme to riwayat ke paband nahin

tu ne shayad yahi samjha tha nadim

tu ne samjha tha ki shabnam ki KHunuk-tabi se

main tera rang mahal aur saja hi dunga

tu ne samjha tha ki pipal ke ghane sae mein

apne college ke hi ruman sunaunga tujhe

ek rangin si titli ke paron ke qisse

kuchh sehr-kar nigahon ke bayan

kuchh jawan sal adaon ke nishan

kuchh karunga lab o ruKHsar ki baaten tujh se

tu ne shayad yahi samjha tha nadim

tu ne ye kyun nahin samjha ki mere afsane

tanz ban kar teri sanson se ulajh jaenge

zindagi chand ki ThanDak hi nahin

zindagi garm mashinon ka dhuan bhi hai nadim

is dhuen mein mujhe zanjir nazar aati hai

mujh ko KHud teri hi taswir nazar aati hai

ghaur se dekh zara dekh to le

tujh ko Dar hai teri tahzib na jal jae kahin

mujh ko Dar hai ye riwayat na jal jaen kahin

phir ek din usi KHakistar se

ek nae ahd ki tamir to ho jaegi

ek insan naya ubhrega

subh aur sham ki milti hui sarhad ke qarib

apne chehre pe shafaq-zar ki surKHi le kar

ek insan naya ubhrega

mere naghme to riwayat ke paband nahin

main riwayat ki taKHliq kiya karta hun

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Riwayat Ki TaKHliq In English By Famous Poet Akhtar Payami. Riwayat Ki TaKHliq is written by Akhtar Payami. Read famous Poem Riwayat Ki TaKHliq for youth and Student by Akhtar Payami. Free Download Riwayat Ki TaKHliq in PDF.