Aaj Bhi Dasht-e-bala Mein Nahr Par Pahra Raha

aaj bhi dasht-e-bala mein nahr par pahra raha

kitni sadiyon baad main aaya magar pyasa raha

kya faza-e-subh-e-KHandan kya sawad-e-sham-e-gham

jis taraf dekha kiya main der tak hansta raha

ek sulagta aashiyan aur bijliyon ki anjuman

puchhta kis se ki mere ghar mein kya tha kya raha

zindagi kya ek sannaTa tha pichhli raat ka

shamen gul hoti rahin dil se dhuan uThta raha

qafile phulon ke guzre is taraf se bhi magar

dil ka ek gosha jo suna tha bahut suna raha

teri in hansti hui aankhon se nisbat thi jise

meri palkon par wo aansu umr bhar Thahra raha

ab lahu ban kar meri aankhon se bah jaane ko hai

han wahi dil jo harif-e-joshish-e-dariya raha

kis ko fursat thi ki 'aKHtar' dekhta meri taraf

main jahan jis bazm mein jab tak raha tanha raha

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Bhi Dasht-e-bala Mein Nahr Par Pahra Raha In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Aaj Bhi Dasht-e-bala Mein Nahr Par Pahra Raha is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Aaj Bhi Dasht-e-bala Mein Nahr Par Pahra Raha for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Aaj Bhi Dasht-e-bala Mein Nahr Par Pahra Raha in PDF.