Muddat Se Lapata Hai KHuda Jaane Kya Hua

muddat se lapata hai KHuda jaane kya hua

phirta tha ek shaKHs tumhein puchhta hua

wo zindagi thi aap the ya koi KHwab tha

jo kuchh tha ek lamhe ko bas samna hua

hum ne tere baghair bhi ji kar dikha diya

ab ye sawal kya hai ki phir dil ka kya hua

so bhi wo tu na dekh saki ai hawa-e-dahr

sine mein ek charagh rakha tha jala hua

duniya ko zid numaish-e-zaKHm-e-jigar se thi

fariyaad main ne ki na zamana KHafa hua

har anjuman mein dhyan usi anjuman ka hai

jaga ho jaise KHwab koi dekhta hua

shayad chaman mein ji na lage lauT aaun main

sayyaad rakh qafas ka abhi dar khula hua

ye iztirab-e-shauq hai 'aKHtar' ki gumrahi

main apne qafile se hun koson baDha hua

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Se Lapata Hai KHuda Jaane Kya Hua In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Muddat Se Lapata Hai KHuda Jaane Kya Hua is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Muddat Se Lapata Hai KHuda Jaane Kya Hua for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Muddat Se Lapata Hai KHuda Jaane Kya Hua in PDF.