Nairangi-e-nashat-e-tamanna Ajib Hai

nairangi-e-nashat-e-tamanna ajib hai

kuchh sham se qafas mein ujala ajib hai

sharma rahe hain tar-e-gareban-e-chaak-e-dil

kuchh din se rang-e-lala-e-sahra ajib hai

har KHwab-e-e'tibar shikaston se chur hai

dil mein magar ghurur-e-tamanna ajib hai

sara badan hai dhup mein jhulsa hua magar

dil par jo paD raha hai wo saya ajib hai

phenke nahin hain aaj talak reza-ha-e-dil

TuTe talluqat ka rishta ajib hai

jab tak nazar na kijiye yak qatra KHun hai dil

lekin jo dekhiye to ye duniya ajib hai

'aKHtar' ye tere panw ke kanTe nae nahin

kanTon se khelta hua chhaala ajib hai

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nairangi-e-nashat-e-tamanna Ajib Hai In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Nairangi-e-nashat-e-tamanna Ajib Hai is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Nairangi-e-nashat-e-tamanna Ajib Hai for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Nairangi-e-nashat-e-tamanna Ajib Hai in PDF.